talluqat jahan se na hadsat se hai
ta.alluqāt jahāñ se na hādsāt se hai
mire ḳhulūs kā rishta tumhārī zaat se hai
taḌap rahe haiñ to ahbāb milne aa.e haiñ
hamāre dil kī ye hālat to aadhī raat se hai
maiñ dushmanoñ ko bhī apne aziiz rakhtā huuñ
ma.āshre meñ tasādum bhī un kī zaat se hai
maiñ aa.ina huuñ mujhe dekh kitnā saada huuñ
mirī nigāh kā rishta jamāliyāt se hai
mashīnī daur meñ ham log saañs lete haiñ
ye uuñch niich bhī shahroñ ke vāqi.āt se hai
qadam qadam pe na.ī zahmatoñ ne yaad kiyā
'munīr' aap kā jiinā bhī hādsāt se hai
talluqat jahan se na hadsat se hai
mere KHulus ka rishta tumhaari zat se hai
taDap rahe hain to ahbab milne aae hain
hamare dil ki ye haalat to aadhi raat se hai
main dushmanon ko bhi apne aziz rakhta hun
maashre mein tasadum bhi un ki zat se hai
main aaina hun mujhe dekh kitna sada hun
meri nigah ka rishta jamaliyat se hai
mashini daur mein hum log sans lete hain
ye unch nich bhi shahron ke waqiat se hai
qadam qadam pe nai zahmaton ne yaad kiya
'munir' aap ka jina bhi hadsat se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.