talluqat ka ek ye bhi shaKHsana hua
ta.alluqāt kā ik ye bhī shāḳhsāna huā
hadaf meñ us kā banā jis se dostāna huā
kasīdagī-e-marāsim se mutma.in huuñ bahut
fasurda-ḳhātirī-e-yār to bahāna huā
ab us se rasm-o-rah-e-dostī nahīñ mumkin
ye ek faisla honā thā vālihāna huā
mire ḳhudā ne talab se mujhe ziyāda diyā
mirā nasīb na maharūm-e-āb-o-dāna huā
duā-e-ḳhair ki ab bijliyoñ kī zad meñ hai
mirā qafas huā yā terā āshiyāna huā
kuchh us kā husn thā kuchh zevaroñ kī zebā.ish
ye ḳhvāb thā use dekhe hue zamāna huā
ye dil ki jis meñ haiñ madfūn saiñkaḌoñ yādeñ
navādirāt kā 'mohsin' koī ḳhazāna huā
talluqat ka ek ye bhi shaKHsana hua
hadaf mein us ka bana jis se dostana hua
kasidagi-e-marasim se mutmain hun bahut
fasurda-KHatiri-e-yar to bahana hua
ab us se rasm-o-rah-e-dosti nahin mumkin
ye ek faisla hona tha walihana hua
mere KHuda ne talab se mujhe ziyaada diya
mera nasib na maharum-e-ab-o-dana hua
dua-e-KHair ki ab bijliyon ki zad mein hai
mera qafas hua ya tera aashiyana hua
kuchh us ka husn tha kuchh zewaron ki zebaish
ye KHwab tha use dekhe hue zamana hua
ye dil ki jis mein hain madfun sainkaDon yaaden
nawadiraat ka 'mohsin' koi KHazana hua
- Book : Sukhan sukhan mehtaab (Pg. 25)
- Author : Aziz ahmed Khan
- Publication : Aziz ahmed Khan (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.