talluqat mein itna sa ehtimam to rakh
ta.alluqāt meñ itnā sā ehtimām to rakh
na kar tū mujh se mohabbat duā salām to rakh
batā.ūñ kaise tire hijr meñ kaTe mire din
tū ek shab mire ghar meñ kabhī qiyām to rakh
mirī safā.ī meñ bhī shīr-ḳhvār boleñge
tū ai zuleḳhā mahal meñ mujhe ġhulām to rakh
talāsh kaise karūñgā añdhere meñ tirā ghar
jalā ke baam pe koī charāġh-e-shām to rakh
hai kitnā mai se ta.alluq mirā batātā huuñ
surāhī rakh mire aage tū pahle jaam to rakh
suḳhan-shanās biThā.eñge sar pe 'gīlānī'
tū un ke sāmne apnā koī kalām to rakh
talluqat mein itna sa ehtimam to rakh
na kar tu mujh se mohabbat dua salam to rakh
bataun kaise tere hijr mein kaTe mere din
tu ek shab mere ghar mein kabhi qiyam to rakh
meri safai mein bhi shir-KHwar bolenge
tu ai zuleKHa mahal mein mujhe ghulam to rakh
talash kaise karunga andhere mein tera ghar
jala ke baam pe koi charagh-e-sham to rakh
hai kitna mai se talluq mera batata hun
surahi rakh mere aage tu pahle jam to rakh
suKHan-shanas biThaenge sar pe 'gilani'
tu un ke samne apna koi kalam to rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.