Tankon se zaKHm-e-pahlu lagta hai kankhajura
Tāñkoñ se zaḳhm-e-pahlū lagtā hai kankhajūrā
mat chheḌ mere dil ko baiThā hai kankhajūrā
champā-kalī us kī kyuuñ kar ḳhayāl chhūTe
be-vaj.h dil se aa kar lipTā hai kankhajūrā
vo jumbishe-e-nigah kyuuñ maare na Dañk har dam
tahrīr-e-surma goyā kaalā hai kankhajūrā
zeb-e-gulū hai kanThī yāqūt kī hai ghunDī
ai shoḳh ye garebāñ terā hai kankhajūrā
rahtā hai kyā tasavvur din raat mujh ko us kā
āñkhoñ meñ laal sar kā phirtā hai kankhajūrā
tiflī meñ khel sīkhe mujh par jo ab banā kar
tinkoñ se sīñgare ke pheñkā hai kankhajūrā
ḳhatt-e-siyāh darpai hai zulf ke 'nasīr' ab
bichchhū kā chhīnñe ghar niklā hai kankhajūrā
Tankon se zaKHm-e-pahlu lagta hai kankhajura
mat chheD mere dil ko baiTha hai kankhajura
champa-kali us ki kyun kar KHayal chhuTe
be-wajh dil se aa kar lipTa hai kankhajura
wo jumbishe-e-nigah kyun mare na Dank har dam
tahrir-e-surma goya kala hai kankhajura
zeb-e-gulu hai kanThi yaqut ki hai ghunDi
ai shoKH ye gareban tera hai kankhajura
rahta hai kya tasawwur din raat mujh ko us ka
aankhon mein lal sar ka phirta hai kankhajura
tifli mein khel sikhe mujh par jo ab bana kar
tinkon se singare ke phenka hai kankhajura
KHatt-e-siyah darpai hai zulf ke 'nasir' ab
bichchhu ka chhinne ghar nikla hai kankhajura
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.