taq mein kaun rakh gaya ek diya aur ek phul
taaq meñ kaun rakh gayā ek diyā aur ek phuul
dhyān meñ phir se jal uThā ek diyā aur ek phuul
mere tumhāre darmiyāñ qatra-e-ashk rā.egāñ
pichhlī rutoñ kā sāneha ek diyā aur ek phuul
ḳhvāb hī ḳhvāb meñ kaTī umr tamām jal bujhī
terā kahā mirā sunā ek diyā aur ek phuul
shām-e-firāq kī qasam aur to kuchh na paas thā
tere liye bachā liyā ek diyā aur ek phuul
bām-e-murād tak mire haath na jā sake magar
der talak jalā kiyā ek diyā aur ek phuul
terī udaas aañkh se mere ḳhamosh hoñT tak
harf-e-visāl kyā huā ek diyā aur ek phuul
jashn kī raat jab tire naam pe log chup se the
maiñ ne yūñhī uThā liyā ek diyā aur ek phuul
taq mein kaun rakh gaya ek diya aur ek phul
dhyan mein phir se jal uTha ek diya aur ek phul
mere tumhaare darmiyan qatra-e-ashk raegan
pichhli ruton ka saneha ek diya aur ek phul
KHwab hi KHwab mein kaTi umr tamam jal bujhi
tera kaha mera suna ek diya aur ek phul
sham-e-firaq ki qasam aur to kuchh na pas tha
tere liye bacha liya ek diya aur ek phul
baam-e-murad tak mere hath na ja sake magar
der talak jala kiya ek diya aur ek phul
teri udas aankh se mere KHamosh honT tak
harf-e-visal kya hua ek diya aur ek phul
jashn ki raat jab tere nam pe log chup se the
main ne yunhi uTha liya ek diya aur ek phul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.