taq par rakh ke mere KHwab sajaane wale
taaq par rakh ke mire ḳhvāb sajāne vaale
tujh ko achchhā nahīñ samjheñge zamāne vaale
gul-faroshā baḌe din ba.ad dī āvāz hameñ
le ke aa.e ho vahī gul vo purāne vaale
hañste jaate ho muāfī kī talab karte hue
aisā karte haiñ bhalā yaar manāne vaale
tum kahāñ se liye aate ho hamārā andāz
kaun haiñ lahje yahāñ bech ke khāne vaale
der tak jurm ke ehsās meñ jalte rahte
ham bhī gar hote koī sham.a bujhāne vaale
nāz-o-andāz vo apnāyā hai tum ne bhī ki bas
ham haiñ ab der talak tum ko satāne vaale
raah meñ bhaTke hue milte haiñ aksar naushe
dūsre logoñ ko manzil kā pata batāne vaale
taq par rakh ke mere KHwab sajaane wale
tujh ko achchha nahin samjhenge zamane wale
gul-farosha baDe din baad di aawaz hamein
le ke aae ho wahi gul wo purane wale
hanste jate ho muafi ki talab karte hue
aisa karte hain bhala yar manane wale
tum kahan se liye aate ho hamara andaz
kaun hain lahje yahan bech ke khane wale
der tak jurm ke ehsas mein jalte rahte
hum bhi gar hote koi shama bujhane wale
naz-o-andaz wo apnaya hai tum ne bhi ki bas
hum hain ab der talak tum ko satane wale
rah mein bhaTke hue milte hain aksar naushe
dusre logon ko manzil ka pata batane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.