taq pe rakhi sari baat
taaq pe rakhī saarī baat
bhuul ga.e dīvārī baat
chaar taraf ġhālib hai ek
ḳhāmoshī par taarī baat
baat kā raajā kaun bane
kaun kare darbārī baat
uḌte bādal rotī aag
bahtā paanī jaarī baat
dam ko be-tah kartā hai
bhārī paanī khārī baat
phailegī chaurangī se
chaar taraf chaubārī baat
mutrib dil sā giit koī
saaqī ik gulzārī baat
baat hai ye andāz bhalā
baat kī baat meñ saarī baat
taq pe rakhi sari baat
bhul gae diwari baat
chaar taraf ghaalib hai ek
KHamoshi par tari baat
baat ka raja kaun bane
kaun kare darbari baat
uDte baadal roti aag
bahta pani jari baat
dam ko be-tah karta hai
bhaari pani khaari baat
phailegi chaurangi se
chaar taraf chaubari baat
mutrib dil sa git koi
saqi ek gulzari baat
baat hai ye andaz bhala
baat ki baat mein sari baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.