taqat nahin hai tere paron mein uDan ki
taqat nahin hai tere paron mein uDan ki
Azimuddin Sahil Kalamnoori
MORE BYAzimuddin Sahil Kalamnoori
tāqat nahīñ hai tere paroñ meñ uḌaan kī
rah kar zamīñ pe soch na tū āsmān kī
vo TuuT jā.egā kabhī jhukne na pā.egā
virse meñ us ne paa.ī hai fitrat chaTān kī
guzrī hai umr saarī hī ghar meñ kirā.e ke
hasrat hī dil meñ rah ga.ī zaatī makān kī
muhtāj daane daane ko yaaro kisān hai
hākim ko hai paḌī huī apne lagān kī
'sāhil' uTho ki sone kā vaqt ab nahīñ rahā
kānoñ meñ gūñjtī haiñ sadā.eñ azaan kī
taqat nahin hai tere paron mein uDan ki
rah kar zamin pe soch na tu aasman ki
wo TuT jaega kabhi jhukne na paega
wirse mein us ne pai hai fitrat chaTan ki
guzri hai umr sari hi ghar mein kirae ke
hasrat hi dil mein rah gai zati makan ki
muhtaj dane dane ko yaro kisan hai
hakim ko hai paDi hui apne lagan ki
'sahil' uTho ki sone ka waqt ab nahin raha
kanon mein gunjti hain sadaen azan ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.