taqaten tumhaari hain aur KHuda hamara hai
tāqateñ tumhārī haiñ aur ḳhudā hamārā hai
'aks par na itrāo ā.īna hamārā hai
aap kī ġhulāmī kā bojh ham na Dho.eñge
aabrū se marne kā faisla hamārā hai
'umr bhar to koī bhī jang laḌ nahīñ saktā
tum bhī Tuut jāoge tajraba hamārā hai
apnī rahnumā.ī par ab ġhurūr mat karnā
aap se bahut aage naqsh-e-pā hamārā hai
taqaten tumhaari hain aur KHuda hamara hai
'aks par na itrao aaina hamara hai
aap ki ghulami ka bojh hum na Dhoenge
aabru se marne ka faisla hamara hai
'umr bhar to koi bhi jang laD nahin sakta
tum bhi Tut jaoge tajraba hamara hai
apni rahnumai par ab ghurur mat karna
aap se bahut aage naqsh-e-pa hamara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.