tar chheDun bhi to jhankar se mahrum rahun
taar chheḌūñ bhī to jhankār se mahrūm rahūñ
aur jo mizrāb se chhū luuñ bhī to sam rotā hai
zulm kī jab koī tārīḳh nahīñ likh saktā
ḳhuun har saañs se bahtā hai sitam rotā hai
fan ko fankār kā in.aam samajhne vaalo
naqsh-e-mānī pe bhī zholīda raqam rotā hai
kuchh mire dīda-e-pur-āb pe mauqūf nahīñ
un ke hāthoñ gul-e-shādāb kā nam rotā hai
tar chheDun bhi to jhankar se mahrum rahun
aur jo mizrab se chhu lun bhi to sam rota hai
zulm ki jab koi tariKH nahin likh sakta
KHun har sans se bahta hai sitam rota hai
fan ko fankar ka inam samajhne walo
naqsh-e-mani pe bhi zholida raqam rota hai
kuchh mere dida-e-pur-ab pe mauquf nahin
un ke hathon gul-e-shadab ka nam rota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.