tare banae kyon falak-e-pir ke liye
taare banā.e kyoñ falak-e-pīr ke liye
kyā the charāġh ḳhāna-e-zanjīr ke liye
naala yuñhī zarūr hai tāsīr ke liye
taqdīr jaise shart hai tadbīr ke liye
shorish meñ dil hai zulf-e-girah-gīr ke liye
dīvāna ġhul machātā hai zanjīr ke liye
qaht-e-junūñ yahī hai to pāband ishq ke
tarseñge ek dāna-e-zanjīr ke liye
rakh denā paas hijr meñ ḳhanjar bhī zahr bhī
ye hai ilaaj maut kī tāḳhīr ke liye
roġhan charāġh-e-tūr kā darkār hai hameñ
o yār-e-ḳhūb-rū tirī tasvīr ke liye
mil jaa.e māñgne se agar bhiik bhī mujhe
dar dar phirūñ maiñ pārā-e-taqdīr ke liye
vo shahsavār tū hai ki mīkāl-o-jibra.īl
dauḌe tere rikāb meñ tauqīr ke liye
umr-e-ravāñ ke vāste lāzim hai dāġh-e-ishq
raushan charāġh karte haiñ rahgīr ke liye
afsāna ḳhuub hai mirī zanjīr-o-tauq kā
haddād ko bulā.iye tahrīr ke liye
pahle to mere qatl kī qātil ko fikr thī
ab soch meñ hai laash kī tash.hīr ke liye
Thahrā na ek bhī mire dil ke javāb meñ
naqshe hazāroñ ka.abe kī ta.amīr ke liye
ḳhat kā na dhyān ulfat-e-abrū meñ chāhiye
nuqsān morche se hai shamshīr ke liye
chāhe agar faroġh to chup baiTh bazm meñ
kab hai zabān sham.a kī taqrīr ke liye
us sham.a-rū kī bazm gulistāñ se kam nahīñ
minqār-e-andalīb ho gul-gīr ke liye
abrū kā husn aur bhī afshāñ se baḌh gayā
jauhar se aabrū huī shamshīr ke liye
siina bhī sāmne hai jigar bhī hai sāmne
kyā kyā hadaf haiñ yaar tire tiir ke liye
mujh rind kā bane jo pas-e-marg maqbara
ḳhisht-e-ḳhum-e-sharāb ho ta.amīr ke liye
bād-e-fanā yaqīñ hai na miTTī nasīb ho
tālib huuñ āsmāñ se jo iksīr ke liye
majnūñ ke baad tauq-o-salāsil hameñ mile
ham ne tabarrukāt ye sab piir ke liye
ghar meñ ḳhudā ke shān-e-yadullāh dekhnā
dosh-e-nabī pe paañv the tasvīr ke liye
piite sharāb ḳhvāb meñ dekhā hai 'kaif' ko
pīr-e-muġhāñ sā piir ho tā۔bīr ke liye
tare banae kyon falak-e-pir ke liye
kya the charagh KHana-e-zanjir ke liye
nala yunhi zarur hai tasir ke liye
taqdir jaise shart hai tadbir ke liye
shorish mein dil hai zulf-e-girah-gir ke liye
diwana ghul machata hai zanjir ke liye
qaht-e-junun yahi hai to paband ishq ke
tarsenge ek dana-e-zanjir ke liye
rakh dena pas hijr mein KHanjar bhi zahr bhi
ye hai ilaj maut ki taKHir ke liye
roghan charagh-e-tur ka darkar hai hamein
o yar-e-KHub-ru teri taswir ke liye
mil jae mangne se agar bhik bhi mujhe
dar dar phirun main para-e-taqdir ke liye
wo shahsawar tu hai ki mikal-o-jibrail
dauDe tere rikab mein tauqir ke liye
umr-e-rawan ke waste lazim hai dagh-e-ishq
raushan charagh karte hain rahgir ke liye
afsana KHub hai meri zanjir-o-tauq ka
haddad ko bulaiye tahrir ke liye
pahle to mere qatl ki qatil ko fikr thi
ab soch mein hai lash ki tashhir ke liye
Thahra na ek bhi mere dil ke jawab mein
naqshe hazaron kabe ki tamir ke liye
KHat ka na dhyan ulfat-e-abru mein chahiye
nuqsan morche se hai shamshir ke liye
chahe agar farogh to chup baiTh bazm mein
kab hai zaban shama ki taqrir ke liye
us shama-ru ki bazm gulistan se kam nahin
minqar-e-andalib ho gul-gir ke liye
abru ka husn aur bhi afshan se baDh gaya
jauhar se aabru hui shamshir ke liye
sina bhi samne hai jigar bhi hai samne
kya kya hadaf hain yar tere tir ke liye
mujh rind ka bane jo pas-e-marg maqbara
KHisht-e-KHum-e-sharab ho tamir ke liye
baad-e-fana yaqin hai na miTTi nasib ho
talib hun aasman se jo iksir ke liye
majnun ke baad tauq-o-salasil hamein mile
hum ne tabarrukat ye sab pir ke liye
ghar mein KHuda ke shan-e-yadullah dekhna
dosh-e-nabi pe panw the taswir ke liye
pite sharab KHwab mein dekha hai 'kaif' ko
pir-e-mughan sa pir ho ta۔bir ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.