tare sare raqs karenge chand zamin par utrega
taare saare raqs kareñge chāñd zamīñ par utregā
aks mire mahbūb kā jab bhī jal ke andar utregā
un nainoñ meñ sab kuchh khoyā dil Duubā aur hosh ga.e
jin nainoñ kī gahrā.ī meñ ek samundar utregā
shahr-e-dil ke har raste par diip jalā.e baiThā huuñ
un kī yādoñ kā ye lashkar mere ghar par utregā
vo aa.e to saarā āñgan saarā gulshan mahkegā
un kā jalva ḳhushbū ban kar gul meñ aksar utregā
dīvāna to dīvāna hai kyā rasta or kyā manzil
par apne mahbūb ke ghar hī aisā be-ghar utregā
ham jaise haiñ or jahāñ haiñ achchhe achchhe kaam kareñ
na ham nabh tak pahuñch sakeñge or na ambar utregā
ghar chhoTe haiñ par logo ke dil to mahloñ jaise haiñ
is bastī meñ ik na ik din ek sikandar utregā
tum sab se achchhe ho sājan aur 'sājid' ko pyāre ho
ruup tumhārā ab kāġhaz par ġhazleñ ban kar utregā
tare sare raqs karenge chand zamin par utrega
aks mere mahbub ka jab bhi jal ke andar utrega
un nainon mein sab kuchh khoya dil Duba aur hosh gae
jin nainon ki gahrai mein ek samundar utrega
shahr-e-dil ke har raste par dip jalae baiTha hun
un ki yaadon ka ye lashkar mere ghar par utrega
wo aae to sara aangan sara gulshan mahkega
un ka jalwa KHushbu ban kar gul mein aksar utrega
diwana to diwana hai kya rasta or kya manzil
par apne mahbub ke ghar hi aisa be-ghar utrega
hum jaise hain or jahan hain achchhe achchhe kaam karen
na hum nabh tak pahunch sakenge or na ambar utrega
ghar chhoTe hain par logo ke dil to mahlon jaise hain
is basti mein ek na ek din ek sikandar utrega
tum sab se achchhe ho sajan aur 'sajid' ko pyare ho
rup tumhaara ab kaghaz par ghazlen ban kar utrega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.