tari mere shuur pe wijdan hi raha
taarī mire shu.ūr pe vijdān hī rahā
aayā ḳhudī ko hosh to ik aan hī rahā
thā hausla ki dāman-e-hairāñ kareñge chaak
hāthoñ meñ lekin apnā garebān hī rahā
phir to vahī thī dhuup vahī dhuup kā safar
zulfoñ kī chhāñv meñ bhī tū mehmān hī rahā
ehsān tere ishq kā kyā haq adā kare
us pe to us kī aql kā faizān hī rahā
ehsāñ ḳharāb chashm-e-ināyat na ho sakā
ye bhī to ik lihāz se 'ehsān' hī rahā
tari mere shuur pe wijdan hi raha
aaya KHudi ko hosh to ek aan hi raha
tha hausla ki daman-e-hairan karenge chaak
hathon mein lekin apna gareban hi raha
phir to wahi thi dhup wahi dhup ka safar
zulfon ki chhanw mein bhi tu mehman hi raha
ehsan tere ishq ka kya haq ada kare
us pe to us ki aql ka faizan hi raha
ehsan KHarab chashm-e-inayat na ho saka
ye bhi to ek lihaz se 'ehsan' hi raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.