tari rahega soch pe wahshat ka bhut kya
taarī rahegā soch pe vahshat kā bhuut kyā
TūTegā kisī taur ye shab kā sukūt kyā
paḌtī nahīñ hai aañkh ke sāhil pe surḳh dhuup
kartā maiñ ārzūoñ ke lāshe hanūt kyā
tum ne kahā to zahr bhī piinā paḌā mujhe
ab is se baḌh ke duuñ tumheñ sach kā subūt kyā
kaise kapās ke liye gandum ko chhoḌ duuñ
miTtī nahīñ hai bhuuk to kātūñ maiñ suut kyā
merī nazar bhī tālib-e-dīdār-e-hīr hai
malnā paḌegā jism pe mujh ko bhabūt kyā
'arshad' hamāre haath se phislegī ek din
pahle bachā sakā koī sāñsoñ kī huut kyā
tari rahega soch pe wahshat ka bhut kya
TuTega kisi taur ye shab ka sukut kya
paDti nahin hai aankh ke sahil pe surKH dhup
karta main aarzuon ke lashe hanut kya
tum ne kaha to zahr bhi pina paDa mujhe
ab is se baDh ke dun tumhein sach ka subut kya
kaise kapas ke liye gandum ko chhoD dun
miTti nahin hai bhuk to katun main sut kya
meri nazar bhi talib-e-didar-e-hir hai
malna paDega jism pe mujh ko bhabut kya
'arshad' hamare hath se phislegi ek din
pahle bacha saka koi sanson ki hut kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.