tarif sun rahe hain tumhaare jamal ki
tārīf sun rahe haiñ tumhāre jamāl kī
tahrīr kījiye koī sūrat visāl kī
le kar tumhārā naam jo jiite haiñ umr bhar
tum ko bhī kuchh ḳhabar hai ġharīboñ ke haal kī
dil meñ hamāre zulmat-e-ġham kā guzar nahīñ
ik sham.a jal rahī hai kisī ke ḳhayāl kī
saaqī se hai sharāb-e-hasīñ-tar kī aarzū
tasvīr khīñchnī hai kisī ke jamāl kī
dil le ke pahle dil kā hī phir haal pūchhnā
bas aap kī yahī to adā hai kamāl kī
vo din bhī the ki aap ko 'shā.eq' se rabt thā
bāteñ huī haiñ aaj vo ḳhvāb-o-ḳhayāl kī
tarif sun rahe hain tumhaare jamal ki
tahrir kijiye koi surat visal ki
le kar tumhaara nam jo jite hain umr bhar
tum ko bhi kuchh KHabar hai gharibon ke haal ki
dil mein hamare zulmat-e-gham ka guzar nahin
ek shama jal rahi hai kisi ke KHayal ki
saqi se hai sharab-e-hasin-tar ki aarzu
taswir khinchni hai kisi ke jamal ki
dil le ke pahle dil ka hi phir haal puchhna
bas aap ki yahi to ada hai kamal ki
wo din bhi the ki aap ko 'shaeq' se rabt tha
baaten hui hain aaj wo KHwab-o-KHayal ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.