tarik but-kade ko daraKHshan bana diya
tārīk but-kade ko daraḳhshāñ banā diyā
sajda kiyā to kufr ko īmāñ banā diyā
kaTne diyā na chain se ik lamha-e-hayāt
dil mutma.in huā to pareshāñ banā diyā
ġhunchoñ kī sādgī ne chaman meñ diyā fareb
phūloñ ke husn ne mujhe hairāñ banā diyā
ashkoñ meñ kuchh milā ke asīroñ ne ḳhūn-e-dil
shām-e-qafas ko sub.h-e-gulistāñ banā diyā
'nudrat' matā-e-ishq vadī.at huī mujhe
mere nasīb ne mujhe insāñ banā diyā
tarik but-kade ko daraKHshan bana diya
sajda kiya to kufr ko iman bana diya
kaTne diya na chain se ek lamha-e-hayat
dil mutmain hua to pareshan bana diya
ghunchon ki sadgi ne chaman mein diya fareb
phulon ke husn ne mujhe hairan bana diya
ashkon mein kuchh mila ke asiron ne KHun-e-dil
sham-e-qafas ko subh-e-gulistan bana diya
'nudrat' mata-e-ishq wadiat hui mujhe
mere nasib ne mujhe insan bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.