tariKH ki jawan umidon ke ru-baru
tārīḳh kī javān umīdoñ ke rū-barū
jalte rahe bahār ke aivān-e-rang-o-bū
tū hī to hai ki ab mujhe pahchāntā nahīñ
hālāñki mere dil meñ dhaḌaktā rahā hai tū
ab zindagī ke naam pe yuuñ chauñktā huuñ maiñ
jaise nayā ḳhayāl hai mauzū-e-guftugū
kal do-ghaḌī guzār ke zulfoñ kī chhāñv meñ
maiñ aaj dar-ba-dar huuñ mirā zikr kū-ba-kū
jo zahr hai salīb hai ḳhanjar kī pyaas hai
vo ḳhvāb le chalā huuñ zamāne ke rū-barū
raas aa gayā hai vaqt ke zaḳhmoñ kā rāsta
kyā kījiye hasīn sitāroñ kī justujū
ye mai-kade kī shaam bhī kitnī udaas hai
ahbāb kā ḳhulūs na rindoñ kī hāo-hū
phir dil ke ās-pās koī sham’ to jale
phir maañg lo kisī se koī zaḳhm-e-ārzū
ye bhī durust hai ki tujhe maiñ bhulā chukā
ye bhī ġhalat nahīñ ki mirī zindagī hai tū
shāyad vahīñ se ho ke saverā guzar gayā
bikhre hue paḌe haiñ jahāñ ḳhvāb-e-ārzū
me’yār-e-fan kā qarz chukāne ke vāste
'jāmī' diyā hai maiñ ne shab-o-roz kā lahū
tariKH ki jawan umidon ke ru-baru
jalte rahe bahaar ke aiwan-e-rang-o-bu
tu hi to hai ki ab mujhe pahchanta nahin
haalanki mere dil mein dhaDakta raha hai tu
ab zindagi ke nam pe yun chaunkta hun main
jaise naya KHayal hai mauzu-e-guftugu
kal do-ghaDi guzar ke zulfon ki chhanw mein
main aaj dar-ba-dar hun mera zikr ku-ba-ku
jo zahr hai salib hai KHanjar ki pyas hai
wo KHwab le chala hun zamane ke ru-baru
ras aa gaya hai waqt ke zaKHmon ka rasta
kya kijiye hasin sitaron ki justuju
ye mai-kade ki sham bhi kitni udas hai
ahbab ka KHulus na rindon ki hao-hu
phir dil ke aas-pas koi sham’ to jale
phir mang lo kisi se koi zaKHm-e-arzu
ye bhi durust hai ki tujhe main bhula chuka
ye bhi ghalat nahin ki meri zindagi hai tu
shayad wahin se ho ke sawera guzar gaya
bikhre hue paDe hain jahan KHwab-e-arzu
me’yar-e-fan ka qarz chukane ke waste
'jami' diya hai main ne shab-o-roz ka lahu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.