tariki mein zinda rahna hum ko nahin manzur
tārīkī meñ zinda rahnā ham ko nahīñ manzūr
jugnū sā tābinda rahnā ham ko nahīñ manzūr
ik pal ko hī chamkeñ lekin bijlī sī lahrā.eñ
raakh tale pā.inda rahnā ham ko nahīñ manzūr
naġhma chheḌeñ saaz bajā.eñ apne dil kā ham
mausam kā sā zinda rahnā ham ko nahīñ manzūr
ham āzād parinde saarī duniyā apnī hai
ḳhitte kā bāshinda rahnā ham ko nahīñ manzūr
dast-o-garebāñ haal se haiñ ham fardā raushan ho
maazī meñ raḳhshanda rahnā ham ko nahīñ manzūr
dil ke vasīle se hī ham ne sab kuchh paayā hai
aql tirā kārinda rahnā ham ko nahīñ manzūr
tariki mein zinda rahna hum ko nahin manzur
jugnu sa tabinda rahna hum ko nahin manzur
ek pal ko hi chamken lekin bijli si lahraen
rakh tale painda rahna hum ko nahin manzur
naghma chheDen saz bajaen apne dil ka hum
mausam ka sa zinda rahna hum ko nahin manzur
hum aazad parinde sari duniya apni hai
KHitte ka bashinda rahna hum ko nahin manzur
dast-o-gareban haal se hain hum farda raushan ho
mazi mein raKHshanda rahna hum ko nahin manzur
dil ke wasile se hi hum ne sab kuchh paya hai
aql tera karinda rahna hum ko nahin manzur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.