tarikiyon ka sang har ek rahguzar mein rakh
tārīkiyoñ kā sang har ik rahguzar meñ rakh
phir azm kā charāġh mirī chashm-e-tar meñ rakh
lene de jā.eza use ḳhud apnī ruuh kā
tū fikr-o-fan kā nuur nigā-e-bashar meñ rakh
lamhoñ kī uḌtī gard jahāñ DhūñD le panāh
kuchh aisā naqsh vaqt ke dīvār-o-dar meñ rakh
dāman ko raat bhar meñ siyāhī se bhar liyā
yādoñ kī dhund ko zarā dast-e-sahar meñ rakh
logoñ kī sang-bār nigāheñ na toḌ deñ
chehra hai kāñch kā ise patthar ke ghar meñ rakh
hai shor-o-ġhul meñ raunaq-e-bazm-e-tarab nihāñ
ḳhāmoshiyoñ ke bahr ko tū apne ghar meñ rakh
tarikiyon ka sang har ek rahguzar mein rakh
phir azm ka charagh meri chashm-e-tar mein rakh
lene de jaeza use KHud apni ruh ka
tu fikr-o-fan ka nur niga-e-bashar mein rakh
lamhon ki uDti gard jahan DhunD le panah
kuchh aisa naqsh waqt ke diwar-o-dar mein rakh
daman ko raat bhar mein siyahi se bhar liya
yaadon ki dhund ko zara dast-e-sahar mein rakh
logon ki sang-bar nigahen na toD den
chehra hai kanch ka ise patthar ke ghar mein rakh
hai shor-o-ghul mein raunaq-e-bazm-e-tarab nihan
KHamoshiyon ke bahr ko tu apne ghar mein rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.