tarikiyon mein dekhta hun roz KHun-e-KHwab
tārīkiyoñ meñ dekhtā huuñ roz ḳhūn-e-ḳhvāb
shab ko sahārā detā shikasta sutūn-e-ḳhvāb
har aañkh ke liye nahīñ hotī sukūñ kī niiñd
har niiñd ke liye nahīñ hotā sukūn-e-ḳhāb
apnī ḳhushī meñ kis ko batā.ūñ ki in dinoñ
ik shaḳhs aa ke miltā hai mujh ko darūn-e-ḳhvāb
parvāz dekhtā thā hamārī sitāra-sāz
ham ko ga.e dinoñ meñ bahut thā junūn-e-ḳhvāb
manzar meñ aañkh khulte hī bhar jaatā hai sukūt
ḳhauf-o-hirās kī vo fazā hai barūn-e-ḳhvāb
tarikiyon mein dekhta hun roz KHun-e-KHwab
shab ko sahaara deta shikasta sutun-e-KHwab
har aankh ke liye nahin hoti sukun ki nind
har nind ke liye nahin hota sukun-e-KHab
apni KHushi mein kis ko bataun ki in dinon
ek shaKHs aa ke milta hai mujh ko darun-e-KHwab
parwaz dekhta tha hamari sitara-saz
hum ko gae dinon mein bahut tha junun-e-KHwab
manzar mein aankh khulte hi bhar jata hai sukut
KHauf-o-hiras ki wo faza hai barun-e-KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.