taron ki utarti hai Doli aur chandni dulhan hoti hai
tāroñ kī utartī hai Dolī aur chāñdnī dulhan hotī hai
jis raat meñ do dil milte haiñ vo raat suhāgan hotī hai
jab dil se dil mil jaate haiñ to kyā kyā gul khil jaate haiñ
kuchh ġhair gale lag jaate haiñ kuchh apnoñ se an-ban hotī hai
jalte haiñ jahāñ vaale lo jaleñ ham rāh-e-vafā meñ saath chaleñ
duniyā ko chhoḌo duniyā to dil vāloñ kī dushman hotī hai
sūrat mirī āñkhoñ meñ dekho kyā dekh rahe ho ā.īna
jis aañkh meñ koī bas jaa.e vo aañkh bhī darpan hotī hai
bas un ke liye hī raat aur din dil merā dhaḌaktā hai lekin
jab sāmne vo aa jaate haiñ tez aur bhī dhaḌkan hotī hai
tum bin ye bahāroñ kā mausam lagtā hai mujhe patjhaḌ kī tarah
tum saath raho to har ik rut mere liye sāvan hotī hai
tasvīr ho terī jab dil meñ ġham dil ke qarīb aa.e kaise
maiñ yaad tujhe kar letā huuñ jab koī bhī uljhan huī hai
nikhre to bane ik tāj-mahal phaile to ḳhushbū aur ġhazal
lekin jo simaTtī hai chāhat mahbūb kā dāman hotī hai
taron ki utarti hai Doli aur chandni dulhan hoti hai
jis raat mein do dil milte hain wo raat suhagan hoti hai
jab dil se dil mil jate hain to kya kya gul khil jate hain
kuchh ghair gale lag jate hain kuchh apnon se an-ban hoti hai
jalte hain jahan wale lo jalen hum rah-e-wafa mein sath chalen
duniya ko chhoDo duniya to dil walon ki dushman hoti hai
surat meri aankhon mein dekho kya dekh rahe ho aaina
jis aankh mein koi bas jae wo aankh bhi darpan hoti hai
bas un ke liye hi raat aur din dil mera dhaDakta hai lekin
jab samne wo aa jate hain tez aur bhi dhaDkan hoti hai
tum bin ye bahaaron ka mausam lagta hai mujhe patjhaD ki tarah
tum sath raho to har ek rut mere liye sawan hoti hai
taswir ho teri jab dil mein gham dil ke qarib aae kaise
main yaad tujhe kar leta hun jab koi bhi uljhan hui hai
nikhre to bane ek taj-mahal phaile to KHushbu aur ghazal
lekin jo simaTti hai chahat mahbub ka daman hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.