tasir-e-muKHtalif ki rawani se jal gae
tāsīr-e-muḳhtalif kī ravānī se jal ga.e
sūraj ke hoñTh barf ke paanī se jal ga.e
lafzoñ kī sīḌhiyoñ se utarte hue ḳhayāl
kāġhaz pe aa ke soz-e-ma.ānī se jal ga.e
ab sub.h shaam kījiye paanī kī paTTiyāñ
sahrā hamārī tishna-dahānī se jal ga.e
us sher ke thā misra.a-e-avval meñ zikr-e-āb
naqqād jis ke misra-e-sānī se jal ga.e
kuchh log ḳhaak ho ga.e hijrat kī aag se
kuchh log shauq-e-naql-e-makānī se jal ga.e
āvāz ke daraḳht kā me.aar kyā girā
hoñToñ ke phuul talḳh-bayānī se jal ga.e
tasir-e-muKHtalif ki rawani se jal gae
suraj ke honTh barf ke pani se jal gae
lafzon ki siDhiyon se utarte hue KHayal
kaghaz pe aa ke soz-e-maani se jal gae
ab subh sham kijiye pani ki paTTiyan
sahra hamari tishna-dahani se jal gae
us sher ke tha misra-e-awwal mein zikr-e-ab
naqqad jis ke misra-e-sani se jal gae
kuchh log KHak ho gae hijrat ki aag se
kuchh log shauq-e-naql-e-makani se jal gae
aawaz ke daraKHt ka mear kya gira
honTon ke phul talKH-bayani se jal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.