tasir meri harf-e-dua tak nahin aati
tāsīr mirī harf-e-du'ā tak nahīñ aatī
kambaḳht ko tā'zīm-e-ḳhudā tak nahīñ aatī
kis shahr meñ chhoḌā hai mirī be-ḳhabarī ne
jis shahr kī galiyoñ meñ havā tak nahīñ aatī
ġhunchoñ ke chaTakne kā to kyā zikr hai pyāre
gulshan meñ to ab garm havā tak nahīñ aatī
jab tak na jale ḳhūn-e-jigar ḳhūn-e-tamannā
muflis ke charāġhoñ meñ ziyā tak nahīñ aatī
hai manzil-e-ġhurbat meñ ḳhamoshī hī ḳhamoshī
pattoñ ke khaḌakne kī sadā tak nahīñ aatī
shaffāf hai shīshe kī tarah rāh-e-sadāqat
is raah meñ gard-e-kaf-e-pā tak nahīñ aatī
insāf kī āñkheñ na agar band hoñ 'bismil'
ġhurbat kisī dastūr-e-sazā tak nahīñ aatī
tasir meri harf-e-du'a tak nahin aati
kambaKHt ko ta'zim-e-KHuda tak nahin aati
kis shahr mein chhoDa hai meri be-KHabari ne
jis shahr ki galiyon mein hawa tak nahin aati
ghunchon ke chaTakne ka to kya zikr hai pyare
gulshan mein to ab garm hawa tak nahin aati
jab tak na jale KHun-e-jigar KHun-e-tamanna
muflis ke charaghon mein ziya tak nahin aati
hai manzil-e-ghurbat mein KHamoshi hi KHamoshi
patton ke khaDakne ki sada tak nahin aati
shaffaf hai shishe ki tarah rah-e-sadaqat
is rah mein gard-e-kaf-e-pa tak nahin aati
insaf ki aankhen na agar band hon 'bismil'
ghurbat kisi dastur-e-saza tak nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.