Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taza-ba-taza subh ke aKHbar ki tarah

Ganesh Gaikwad Aaghaz

taza-ba-taza subh ke aKHbar ki tarah

Ganesh Gaikwad Aaghaz

MORE BYGanesh Gaikwad Aaghaz

    tāza-ba-tāza sub.h ke aḳhbār tarah

    bechā gayā maiñ aaj bhī har baar tarah

    qātil hai merī jaan dushman hai vo magar

    miltā hai mujh se jo kisī ġham-ḳhvār tarah

    ik shai ki jis naam hai ehsās zehn meñ

    paiham khaTaktā rahtā hai ik ḳhaar tarah

    maiñ apnī be-gunāhī pe ḳhud apne aap meñ

    rahtā huuñ sharmsār gunahgār tarah

    karte haiñ baat baat meñ jazboñ mol-tol

    karte haiñ log pyaar bhī byopār tarah

    chāhat bhī in hotī hai nafrat liye hue

    iqrār bhī vo karte haiñ inkār tarah

    'āġhāz' har zabān pe har ek bazm meñ

    hai us tazkira mire ash.ār tarah

    taza-ba-taza subh ke aKHbar ki tarah

    becha gaya main aaj bhi har bar ki tarah

    qatil hai meri jaan ka dushman hai wo magar

    milta hai mujh se jo kisi gham-KHwar ki tarah

    ek shai ki jis ka nam hai ehsas zehn mein

    paiham khaTakta rahta hai ek KHar ki tarah

    main apni be-gunahi pe KHud apne aap mein

    rahta hun sharmsar gunahgar ki tarah

    karte hain baat baat mein jazbon ka mol-tol

    karte hain log pyar bhi byopar ki tarah

    chahat bhi in ki hoti hai nafrat liye hue

    iqrar bhi wo karte hain inkar ki tarah

    'aghaz' har zaban pe har ek bazm mein

    hai us ka tazkira mere ashaar ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now