taza hawa ke waste khiDki na ban saka
taaza havā ke vāste khiḌkī na ban sakā
de duuñ kisī ko chhāñv vo badlī na ban sakā
beTā basā bides meñ daulat ke Dher par
lekin vo būḌhe baap kī lāThī na ban sakā
shā'ir kā vāsta baḌā gahrā hai bhuuk se
us kā kalām aaj bhī roTī na ban sakā
kyuuñ kar karūñ umiid tū mujh sā banegā dost
jaisā maiñ chāhtā huuñ vo ḳhud bhī na ban sakā
kā'be se lauT kar vahī sūd-o-ziyāñ kī fikr
haj kar liyā magar kabhī haajī na ban sakā
rah ke bhī duur sun sake abbā kī khāñsiyāñ
beTā kabhī bhī baap kī beTī na ban sakā
ḳhud kī kamī ko chhoḌ ke ġhairoñ pe hī uThe
maiñ aaj tak 'sahāb' vo uñglī na ban sakā
taza hawa ke waste khiDki na ban saka
de dun kisi ko chhanw wo badli na ban saka
beTa basa bides mein daulat ke Dher par
lekin wo buDhe bap ki laThi na ban saka
sha'ir ka wasta baDa gahra hai bhuk se
us ka kalam aaj bhi roTi na ban saka
kyun kar karun umid tu mujh sa banega dost
jaisa main chahta hun wo KHud bhi na ban saka
ka'be se lauT kar wahi sud-o-ziyan ki fikr
haj kar liya magar kabhi haji na ban saka
rah ke bhi dur sun sake abba ki khansiyan
beTa kabhi bhi bap ki beTi na ban saka
KHud ki kami ko chhoD ke ghairon pe hi uThe
main aaj tak 'sahab' wo ungli na ban saka
- Book : میں اردو بولوں(شعری مجموعہ) (Pg. 197)
- Author : اجئے سحاب
- Publication : اردو پریس کلب(یو۔پی۔سی) انٹر نیشنل پبلی کیشنز (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.