taza tasalliyon se purane sawal kar
taaza tasalliyoñ se purāne savāl kar
shā.ista-e-azāb zarā dekh bhaal kar
uḌtī hai āsmān meñ rañgoñ kī dhuul kyuuñ
dekheñge ham havā ko havā meñ uchhāl kar
dil par ajiib gard hai āñkhoñ meñ hai ġhubār
do-chār kaam aaj to fursat nikāl kar
aapas meñ laḌ paḌe haiñ kisī mas.ale pe log
apnā bhī ek shaḳhs hai patthar sambhāl kar
taza tasalliyon se purane sawal kar
shaista-e-azab zara dekh bhaal kar
uDti hai aasman mein rangon ki dhul kyun
dekhenge hum hawa ko hawa mein uchhaal kar
dil par ajib gard hai aankhon mein hai ghubar
do-chaar kaam aaj to fursat nikal kar
aapas mein laD paDe hain kisi masale pe log
apna bhi ek shaKHs hai patthar sambhaal kar
- Book : Taziyana (Pg. 133)
- Author : Javid Nasir
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.