tazgi har shai pe aai mausam-e-barsat mein
tāzgī har shai pe aa.ī mausam-e-barsāt meñ
khil uThā zaḳhm-e-judā.ī mausam-e-barsāt meñ
kaise murda log phir se zinda hoñge dekh lo
dī zamīnoñ ne gavāhī mausam-e-barsāt meñ
dushmanoñ ko ek kar de rab kī qudrat be-misāl
fasl-e-bārāñ dhuup laa.ī mausam-e-barsāt meñ
abr tū insāñ ke jaisā adl se ġhāfil na ho
kyā zamīñ apnī parā.ī mausam-e-barsāt meñ
ThanDī purvā.ī chalī to un kī mauj-e-zulf bhī
gaal ke sāhil tak aa.ī mausam-e-barsāt meñ
soñdhī soñdhī sī mahak aa.ī to yaad aaya hameñ
aap kā dast-e-hinā.ī mausam-e-barsāt meñ
vaqt jis ke saath hai tū bhī usī ke saath chal
garmiyoñ kī kar burā.ī mausam-e-barsāt meñ
ghan-garaj kar daad dete haiñ tumheñ bādal 'nabīl'
kyā ġhazal tum ne sunā.ī mausam-e-barsāt meñ
tazgi har shai pe aai mausam-e-barsat mein
khil uTha zaKHm-e-judai mausam-e-barsat mein
kaise murda log phir se zinda honge dekh lo
di zaminon ne gawahi mausam-e-barsat mein
dushmanon ko ek kar de rab ki qudrat be-misal
fasl-e-baran dhup lai mausam-e-barsat mein
abr tu insan ke jaisa adl se ghafil na ho
kya zamin apni parai mausam-e-barsat mein
ThanDi purwai chali to un ki mauj-e-zulf bhi
gal ke sahil tak aai mausam-e-barsat mein
sondhi sondhi si mahak aai to yaad aaya hamein
aap ka dast-e-hinai mausam-e-barsat mein
waqt jis ke sath hai tu bhi usi ke sath chal
garmiyon ki kar burai mausam-e-barsat mein
ghan-garaj kar dad dete hain tumhein baadal 'nabil'
kya ghazal tum ne sunai mausam-e-barsat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.