tazgi ko taras gaya pani
tāzgī ko taras gayā paanī
ek bandhe meñ kas gayā paanī
chhat Tapaktī rahī july-bhar
phir palastar ko Das gayā paanī
gasht kartā thā kitnā mīThā thā
kis samandar meñ bas gayā paanī
ashk ab is qadar nahīñ bahte
sahme sahme jhulas gayā paanī
jaan phir bach ga.ī hai dahqāñ kī
vaqt se phir baras gayā paanī
tazgi ko taras gaya pani
ek bandhe mein kas gaya pani
chhat Tapakti rahi july-bhar
phir palastar ko Das gaya pani
gasht karta tha kitna miTha tha
kis samandar mein bas gaya pani
ashk ab is qadar nahin bahte
sahme sahme jhulas gaya pani
jaan phir bach gai hai dahqan ki
waqt se phir baras gaya pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.