tazim-e-mohabbat hai na takrim-e-wafa hai
tāzīm-e-mohabbat hai na takrīm-e-vafā hai
gul-kārī-e-daurāñ kā faqat naam baḌā hai
gulzār-e-mohabbat meñ vahī phuul banā hai
jis ġhuncha-e-nau-ḳhez meñ īsār-o-vafā hai
ā.īna mukaddar ho to dhuñdlātī hai tasvīr
shaffāf nigāhoñ meñ tahārat kī ziyā hai
har shaḳhs yahāñ apnī anā meñ hai muqayyad
bātil kā vahī zo.am vahī kizb-o-riyā hai
ham DhūñD rahe haiñ jise sāvan kī ghaTā meñ
vo qatra-e-sayyāl to āñkhoñ meñ chhupā hai
yuuñ āñkhoñ se Tapke shab-e-dījūr meñ aañsū
dāman bhī chamakte hue tāroñ se bharā hai
kahte haiñ 'jamīl' aap ko arbāb-e-basīrat
ik saada sā insān hai bātoñ kā kharā hai
tazim-e-mohabbat hai na takrim-e-wafa hai
gul-kari-e-dauran ka faqat nam baDa hai
gulzar-e-mohabbat mein wahi phul bana hai
jis ghuncha-e-nau-KHez mein isar-o-wafa hai
aaina mukaddar ho to dhundlati hai taswir
shaffaf nigahon mein tahaarat ki ziya hai
har shaKHs yahan apni ana mein hai muqayyad
baatil ka wahi zoam wahi kizb-o-riya hai
hum DhunD rahe hain jise sawan ki ghaTa mein
wo qatra-e-sayyal to aankhon mein chhupa hai
yun aankhon se Tapke shab-e-dijur mein aansu
daman bhi chamakte hue taron se bhara hai
kahte hain 'jamil' aap ko arbab-e-basirat
ek sada sa insan hai baaton ka khara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.