tab-e-hassas ab is sath pe le aai hamein
tab'-e-hassās ab is sat.h pe le aa.ī hameñ
mahfiloñ meñ bhī satāne lagī tanhā.ī hameñ
shahr-dar-shahr liye phirtī hai rusvā.ī hameñ
zindagī dād-e-vafā tū bhī na de paa.ī hameñ
ham tamāshā the kabhī dīda-e-ibrat kī qasam
ab tamāshā nazar aate haiñ tamāshā.ī hameñ
jaag uThtā hai kisī lams kā ehsās abhī
chheḌ kar jab bhī guzar jaatī hai purvā.ī hameñ
phir kabhī aaya na vo jāma-darī kā mausam
vaah re baḳht ki vahshat bhī na raas aa.ī hameñ
ye bhī tā'na hī to hai tujh se bichhaḌ kar ai dost
shāḳh-e-gul yaad dilā.e tirī añgḌā.ī hameñ
muñh chhupāne kā hunar bhī nahīñ aaya 'afzal'
aur jiine bhī nahīñ dete shanāsā.ī hameñ
tab'-e-hassas ab is sath pe le aai hamein
mahfilon mein bhi satane lagi tanhai hamein
shahr-dar-shahr liye phirti hai ruswai hamein
zindagi dad-e-wafa tu bhi na de pai hamein
hum tamasha the kabhi dida-e-ibrat ki qasam
ab tamasha nazar aate hain tamashai hamein
jag uThta hai kisi lams ka ehsas abhi
chheD kar jab bhi guzar jati hai purwai hamein
phir kabhi aaya na wo jama-dari ka mausam
wah re baKHt ki wahshat bhi na ras aai hamein
ye bhi ta'na hi to hai tujh se bichhaD kar ai dost
shaKH-e-gul yaad dilae teri angDai hamein
munh chhupane ka hunar bhi nahin aaya 'afzal'
aur jine bhi nahin dete shanasai hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.