tab-e-raushan ko meri kuchh is tarah bhai ghazal
tab-e-raushan ko mirī kuchh is tarah bhaa.ī ġhazal
jab bhī maiñ tanhā huā huuñ mujh ko yaad aa.ī ġhazal
jab bhī din Duubā huī fikr-e-suḳhan lāhaq mujhe
shaam hote hī mire sāġhar meñ dar aa.ī ġhazal
yaad jab aa.e mujhe bichhḌe hue sāthī mire
kāñpte hoñToñ kī har silvaT pe lahrā.ī ġhazal
phuul sī āñkhoñ meñ añgāre liye phirtā huuñ maiñ
raat bhar sone kahāñ detī hai harjā.ī ġhazal
rañg sochoñ ke bikhar jaate haiñ ehsāsāt par
zehn meñ shā.er ke jab letī hai añgḌā.ī ġhazal
nā-gahāñ logoñ ne dil merā dikhāyā to mujhe
yuuñ lagā goyā mire dukh bāñTne aa.ī ġhazal
mujh ko yaad aayā bahut vo nā-murād-e-ishq 'mīr'
dil ke tāroñ par 'zafar' mutrib ne jab gaa.ī ġhazal
tab-e-raushan ko meri kuchh is tarah bhai ghazal
jab bhi main tanha hua hun mujh ko yaad aai ghazal
jab bhi din Duba hui fikr-e-suKHan lahaq mujhe
sham hote hi mere saghar mein dar aai ghazal
yaad jab aae mujhe bichhDe hue sathi mere
kanpte honTon ki har silwaT pe lahrai ghazal
phul si aankhon mein angare liye phirta hun main
raat bhar sone kahan deti hai harjai ghazal
rang sochon ke bikhar jate hain ehsasat par
zehn mein shaer ke jab leti hai angDai ghazal
na-gahan logon ne dil mera dikhaya to mujhe
yun laga goya mere dukh banTne aai ghazal
mujh ko yaad aaya bahut wo na-murad-e-ishq 'mir'
dil ke taron par 'zafar' mutrib ne jab gai ghazal
- Book : Nawa-e-harf-e-khamoosh (Pg. 123)
- Author : Zafar Kaleem
- Publication : Zafar Kaleem (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.