tab karan ta-ba-karan subh ki aahaT gunji
tab karāñ tā-ba-karāñ sub.h kī aahaT gūñjī
āftāb ek dhamāke se ufuq par aayā
ab na vo raat kī haibat thī na zulmat kā vo zulm
parcham-e-nūr yahāñ aur vahāñ lahrāyā
jitnī kirneñ bhī añdhere meñ ubhar kar ubhrīñ
nok par raat kā dāmān darīda paayā
merī tārīḳh kā vo bāb-e-munavvar hai ye din
jis ne ik qaum ko ḳhud us kā pata batlāyā
tab karan ta-ba-karan subh ki aahaT gunji
aaftab ek dhamake se ufuq par aaya
ab na wo raat ki haibat thi na zulmat ka wo zulm
parcham-e-nur yahan aur wahan lahraya
jitni kirnen bhi andhere mein ubhar kar ubhrin
nok par raat ka daman darida paya
meri tariKH ka wo bab-e-munawwar hai ye din
jis ne ek qaum ko KHud us ka pata batlaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.