tab us ka zahr usi ke badan mein bhar jae
tab us kā zahr usī ke badan meñ bhar jaa.e
agar zabāñ na chalā.e to saañp mar jaa.e
khaḌī hai dar pe ajal aur mujh meñ jaan nahīñ
kaho vo der se aa.ī hai apne ghar jaa.e
koī charāġh jahāñ raushnī kā zikr kare
siyāh raat kā chehra vahīñ utar jaa.e
vo barg-e-ḳhushk jise shāḳh ne latāḌ diyā
havā ke saath na jaa.e to phir kidhar jaa.e
ye jo charāġh havāoñ kī dhun pe raqsāñ hai
use batāo abhī vaqt hai sudhar jaa.e
adab kī soch yahī hai tumhārā tiir nahīñ
tumhārā sher dil-o-jān meñ utar jaa.e
tire bayān meñ ḳhushbū hai raushnī dil meñ
'mayañk' sab kī tamannā hai tū bikhar jaa.e
tab us ka zahr usi ke badan mein bhar jae
agar zaban na chalae to sanp mar jae
khaDi hai dar pe ajal aur mujh mein jaan nahin
kaho wo der se aai hai apne ghar jae
koi charagh jahan raushni ka zikr kare
siyah raat ka chehra wahin utar jae
wo barg-e-KHushk jise shaKH ne lataD diya
hawa ke sath na jae to phir kidhar jae
ye jo charagh hawaon ki dhun pe raqsan hai
use batao abhi waqt hai sudhar jae
adab ki soch yahi hai tumhaara tir nahin
tumhaara sher dil-o-jaan mein utar jae
tere bayan mein KHushbu hai raushni dil mein
'mayank' sab ki tamanna hai tu bikhar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.