tabah kar gaya sab ko mere gharane ka
tabāh kar gayā sab ko mire gharāne kā
vahī junūn hathelī pe phuul ugāne kā
tire baġhair maiñ mar jā.ūñgā yahī sach hai
nahīñ hai hausla ab jhuuT ko bachāne kā
hamāre biich meñ ik aur shaḳhs honā thā
jo laḌ paḌe to koī bhī nahīñ manāne kā
vo reg reg se uThtā thā lahr lahr kī shakl
maiñ ḳhvāb dekhtā thā kashtiyāñ chalāne kā
havā se bhuul huī thī ki pūchh baiThī thī
kabhī patā mire harjā.ī ke Thikāne kā
tabah kar gaya sab ko mere gharane ka
wahi junun hatheli pe phul ugane ka
tere baghair main mar jaunga yahi sach hai
nahin hai hausla ab jhuT ko bachane ka
hamare bich mein ek aur shaKHs hona tha
jo laD paDe to koi bhi nahin manane ka
wo reg reg se uThta tha lahr lahr ki shakl
main KHwab dekhta tha kashtiyan chalane ka
hawa se bhul hui thi ki puchh baiThi thi
kabhi pata mere harjai ke Thikane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.