tabah kar ke dil-e-KHanuman-KHarab mujhe
tabāh kar ke dil-e-ḳhānumāñ-ḳharāb mujhe
qarīb-e-manzil-e-hastī na de javāb mujhe
ba-lutf-e-ḳhās ināyat ho aaj to saaqī
nigāh-e-shoḳh se ik sāġhar-e-sharāb mujhe
tamām umr basāyā unheñ nigāhoñ meñ
vo aaj baḳhsh ga.e dūrī-e-hijāb mujhe
har ek rind pukārā tumhāre jaate hī
sharāb chāhiye ab be-had-o-hisāb mujhe
na ab takalluf-e-bejā se kaam le saaqī
pilā pilā sar-e-mai-ḳhāna be-hisāb mujhe
agar lagāo na hotā unheñ to vo 'jauhar'
sitam ke vāste kyoñ karte intiḳhāb mujhe
tabah kar ke dil-e-KHanuman-KHarab mujhe
qarib-e-manzil-e-hasti na de jawab mujhe
ba-lutf-e-KHas inayat ho aaj to saqi
nigah-e-shoKH se ek saghar-e-sharab mujhe
tamam umr basaya unhen nigahon mein
wo aaj baKHsh gae duri-e-hijab mujhe
har ek rind pukara tumhaare jate hi
sharab chahiye ab be-had-o-hisab mujhe
na ab takalluf-e-beja se kaam le saqi
pila pila sar-e-mai-KHana be-hisab mujhe
agar lagao na hota unhen to wo 'jauhar'
sitam ke waste kyon karte intiKHab mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.