tabah kar ke har ek naqsh-e-jism-o-jaan humne
tabāh kar ke har ik naqsh-e-jism-o-jāñ ham ne
banā diyā hai mohabbat ko jāvedāñ ham ne
ġhalat-ravī pe tirī tabsira muhāl na thā
tirā lihāz kiyā mīr-e-kārvāñ ham ne
hamāre dīda-e-be-āb ko na ta.ane do
luTā diyā hai sitāroñ kā ik jahāñ ham ne
haTī haTī se tavajjoh ye ahl-e-mahfil kī
badal diyā hai kahīñ rañg-e-dāstāñ ham ne
sitam kiye haiñ bahut dil pe ye haqīqat hai
ayaañ na kar ke vafūr-e-ġham-e-nihāñ ham ne
na-jāne rāz-e-mohabbat kā hashr kyā hogā
banā liye haiñ ka.ī apne rāz-dāñ ham ne
nigāh sirf tahayyur havās vārafta
liyā thā jazb-e-mohabbat kā imtihāñ ham ne
na jaane kaun sī aafat 'nasīr' ho nāzil
agar chaman meñ kiyā zikr-e-āshiyāñ ham ne
tabah kar ke har ek naqsh-e-jism-o-jaan hum ne
bana diya hai mohabbat ko jawedan hum ne
ghalat-rawi pe teri tabsira muhaal na tha
tera lihaz kiya mir-e-karwan hum ne
hamare dida-e-be-ab ko na tane do
luTa diya hai sitaron ka ek jahan hum ne
haTi haTi se tawajjoh ye ahl-e-mahfil ki
badal diya hai kahin rang-e-dastan hum ne
sitam kiye hain bahut dil pe ye haqiqat hai
ayan na kar ke wafur-e-gham-e-nihan hum ne
na-jaane raaz-e-mohabbat ka hashr kya hoga
bana liye hain kai apne raaz-dan hum ne
nigah sirf tahayyur hawas warafta
liya tha jazb-e-mohabbat ka imtihan hum ne
na jaane kaun si aafat 'nasir' ho nazil
agar chaman mein kiya zikr-e-ashiyan hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.