tabah zist magar ek bazigar ne ki
tabāh ziist magar ek bāzīgar ne kī
vagarna vaj.h na thī TuuT kar bikharne kī
vo uḌ chukā hai to phir us kī maan lete haiñ
use to zid sī hai ilzām ham pe dharne kī
tamām ḳhvāb pareshāñ the shab kī mahfil meñ
na-jāne baat kyā tāroñ se chashm-e-tar ne kī
vo rath meñ aañkh kī har pal chamaktā rahtā hai
ye rut hai jugnuoñ ke ḳhaak par utarne kī
hai chhed chhed mirā dāman-e-savāl bhī ab
ajiib hālat-e-dil mere jādūgar ne kī
samā.atoñ kā nasha hai ki shor paa.el kā
ḳhirad bhī chhīn ga.ī haiñ sadā.eñ jharne kī
kitāb-e-vaqt kā har baab hifz kar Daalā
paḌhī na mashq magar qaul se mukarne kī
nahīñ thī ziist muqaddar na bach sake varna
bahut sa.ī mire ma.asūm chārāgar ne kī
'rashīd' ham ne faqīrī meñ vaqt kaaT liyā
agarche taaj sajāne kī zid bhī sar ne kī
tabah zist magar ek bazigar ne ki
wagarna wajh na thi TuT kar bikharne ki
wo uD chuka hai to phir us ki man lete hain
use to zid si hai ilzam hum pe dharne ki
tamam KHwab pareshan the shab ki mahfil mein
na-jaane baat kya taron se chashm-e-tar ne ki
wo rath mein aankh ki har pal chamakta rahta hai
ye rut hai jugnuon ke KHak par utarne ki
hai chhed chhed mera daman-e-sawal bhi ab
ajib haalat-e-dil mere jadugar ne ki
samaaton ka nasha hai ki shor pael ka
KHirad bhi chhin gai hain sadaen jharne ki
kitab-e-waqt ka har bab hifz kar Dala
paDhi na mashq magar qaul se mukarne ki
nahin thi zist muqaddar na bach sake warna
bahut sai mere masum chaaragar ne ki
'rashid' hum ne faqiri mein waqt kaT liya
agarche taj sajaane ki zid bhi sar ne ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.