tabahi dard aziyyat ka karwan le kar
tabahi dard aziyyat ka karwan le kar
Rajeev Riyaz Pratapgarhi
MORE BYRajeev Riyaz Pratapgarhi
tabāhī dard aziyyat kā kārvāñ le kar
kahāñ se aa.iiñ havā.eñ dhuāñ dhuāñ le kar
badan kā kyā hai khilaunā hai chāhe jo khele
chalā gayā hai koī apne saath jaañ le kar
palaT ke aayā to qadmoñ tale zamīn na thī
mire ḳhudā maiñ kahāñ jā.ūñ āsmāñ le kar
tujhe pata hī nahīñ tū jahān hai merā
maiñ kyā karūñgā tire ba.ad ye jahāñ le kar
bas ik gumāñ thā ki ab bhī 'riyāz' zinda huuñ
ab apnī laash ko bhaTkūñ kahāñ kahāñ le kar
tabahi dard aziyyat ka karwan le kar
kahan se aain hawaen dhuan dhuan le kar
badan ka kya hai khilauna hai chahe jo khele
chala gaya hai koi apne sath jaan le kar
palaT ke aaya to qadmon tale zamin na thi
mere KHuda main kahan jaun aasman le kar
tujhe pata hi nahin tu jahan hai mera
main kya karunga tere baad ye jahan le kar
bas ek guman tha ki ab bhi 'riyaz' zinda hun
ab apni lash ko bhaTkun kahan kahan le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.