tabar-o-tesha-o-tasir kahan se laen
tabar-o-tesha-o-tāsīr kahāñ se laa.eñ
ishq farmā.eñ jū-e-shīr kahāñ se laa.eñ
ḳhvāb hī ḳhvāb haiñ ta.abīr kahāñ se laa.eñ
laa.eñ par ḳhūbī-e-taqdīr kahāñ se laa.eñ
marham-e-ḳhāk ġhanīmat hai ki maujūd to hai
dasht meñ baiTh ke iksīr kahāñ se laa.eñ
koī zāhid hai to allāh kī marzī se hai
aisī taqsīr pe ta.azīr kahāñ se laa.eñ
kahiye kuchh us ke Thikāne kā patā bhī to chale
kar ke 'rāhīl' ko zanjīr kahāñ se laa.eñ
tabar-o-tesha-o-tasir kahan se laen
ishq farmaen ju-e-shir kahan se laen
KHwab hi KHwab hain tabir kahan se laen
laen par KHubi-e-taqdir kahan se laen
marham-e-KHak ghanimat hai ki maujud to hai
dasht mein baiTh ke iksir kahan se laen
koi zahid hai to allah ki marzi se hai
aisi taqsir pe tazir kahan se laen
kahiye kuchh us ke Thikane ka pata bhi to chale
kar ke 'rahil' ko zanjir kahan se laen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.