Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tabassum-e-lab-e-KHandan ke sath sath chalo

Bismil Aazmi

tabassum-e-lab-e-KHandan ke sath sath chalo

Bismil Aazmi

MORE BYBismil Aazmi

    tabassum-e-lab-e-ḳhandāñ ke saath saath chalo

    surūr-e-shoḳhī-e-pinhāñ ke saath saath chalo

    junūñ meñ ḳhū-e-ġhazālāñ ke saath saath chalo

    shi.ār-e-hashr-badāmāñ ke saath saath chalo

    uThā.e bār-e-alam dosh par zamāne

    hujūm-e-gardish-e-daurāñ ke saath saath chalo

    thakan bane na kabhī ab se paañv zanjīr

    diloñ meñ azm-e-farāvāñ ke saath saath chalo

    banā lo apnī adāoñ sab ko dīvāna

    vagarna umr-e-gurezāñ ke saath saath chalo

    chhupā.e sīnoñ meñ ehsās-e-zindagī chubhan

    tasavvur-e-ġham-e-daurāñ ke saath saath chalo

    banā ke chhoḌ do kundan ḳharāb-hāloñ ko

    hikāyat-e-ruḳh-e-jānāñ ke saath saath chalo

    uThā.e tum pe zamāna na uñgliyāñ 'bismil'

    nigāh-e-shorish-e-pinhāñ ke saath saath chalo

    tabassum-e-lab-e-KHandan ke sath sath chalo

    surur-e-shoKHi-e-pinhan ke sath sath chalo

    junun mein KHu-e-ghazalan ke sath sath chalo

    shiar-e-hashr-badaman ke sath sath chalo

    uThae bar-e-alam dosh par zamane ka

    hujum-e-gardish-e-dauran ke sath sath chalo

    thakan bane na kabhi ab se panw ki zanjir

    dilon mein azm-e-farawan ke sath sath chalo

    bana lo apni adaon ka sab ko diwana

    wagarna umr-e-gurezan ke sath sath chalo

    chhupae sinon mein ehsas-e-zindagi ki chubhan

    tasawwur-e-gham-e-dauran ke sath sath chalo

    bana ke chhoD do kundan KHarab-haalon ko

    hikayat-e-ruKH-e-jaanan ke sath sath chalo

    uThae tum pe zamana na ungliyan 'bismil'

    nigah-e-shorish-e-pinhan ke sath sath chalo

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now