Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tabassum lab pe aankhon mein mohabbat ki kahani hai

Syed Manzar Hasan Desnavi

tabassum lab pe aankhon mein mohabbat ki kahani hai

Syed Manzar Hasan Desnavi

MORE BYSyed Manzar Hasan Desnavi

    tabassum lab pe āñkhoñ meñ mohabbat kahānī hai

    tumhārī har adā meñ ik nashāt-e-kāmrānī hai

    bahut muḳhtasar apnī hadīs-e-zindagānī hai

    tire aariz ke jalve haiñ mirā ḳhvāb-e-javānī hai

    isī sāġhar meñ saaqī dekh āb-e-zindagānī hai

    ki mauj-e-mai meñ pinhāñ rāz-e-umr-e-jāvedānī hai

    vahī tanhā.ī aalam vahī hai yaad phir un

    vahī maiñ huuñ vahī phir soz-e-ġham-hā-e-nihānī hai

    bahār aa.ī hai gulshan meñ magar kumhlā ga.e ġhunche

    guloñ ke lab pe yā-rab aaj kāñToñ kahānī hai

    ajal ko bhī pukārā hai duā-e-zīst bhī hai

    kabhī dasht-e-junūñ ham ne 'manzar' ḳhaak chhānī hai

    tabassum lab pe aankhon mein mohabbat ki kahani hai

    tumhaari har ada mein ek nashat-e-kaamrani hai

    bahut hi muKHtasar apni hadis-e-zindagani hai

    tere aariz ke jalwe hain mera KHwab-e-jawani hai

    isi saghar mein saqi dekh aab-e-zindagani hai

    ki mauj-e-mai mein pinhan raaz-e-umr-e-jawedani hai

    wahi tanhai ka aalam wahi hai yaad phir un ki

    wahi main hun wahi phir soz-e-gham-ha-e-nihani hai

    bahaar aai hai gulshan mein magar kumhla gae ghunche

    gulon ke lab pe ya-rab aaj kanTon ki kahani hai

    ajal ko bhi pukara hai dua-e-zist bhi ki hai

    kabhi dasht-e-junun ki hum ne 'manzar' KHak chhani hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now