tabdiliyan hain umr ke jaane ke sath sath
tabdīliyāñ haiñ umr ke jaane ke saath saath
nārāzgī baḌhī hai manāne ke saath saath
nafrat munāfiqat se rahī mujh ko umr bhar
maiñ chal sakā nahīñ huuñ zamāne ke saath saath
merī musībateñ bhī gavārā nahīñ use
mujh ko rulā rahā hai hañsāne ke saath saath
dil meñ sulag rahī haiñ duāoñ kī mash.aleñ
lab hil rahe haiñ haath uThāne ke saath saath
us kī har ek baat to yaksar nahīñ ġhalat
haiñ kuchh haqīqateñ bhī bahāne ke saath saath
maiñ āshnā huuñ us ke mizāj-o-ḳhayāl se
yaad ā.ūñgā use maiñ bhulāne ke saath saath
'safdar' ajiib lagtī hai bastī basī huī
ātish-fishāñ ke surḳh dahāne ke saath saath
tabdiliyan hain umr ke jaane ke sath sath
naraazgi baDhi hai manane ke sath sath
nafrat munafiqat se rahi mujh ko umr bhar
main chal saka nahin hun zamane ke sath sath
meri musibaten bhi gawara nahin use
mujh ko rula raha hai hansane ke sath sath
dil mein sulag rahi hain duaon ki mashalen
lab hil rahe hain hath uThane ke sath sath
us ki har ek baat to yaksar nahin ghalat
hain kuchh haqiqaten bhi bahane ke sath sath
main aashna hun us ke mizaj-o-KHayal se
yaad aaunga use main bhulane ke sath sath
'safdar' ajib lagti hai basti basi hui
aatish-fishan ke surKH dahane ke sath sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.