tabhi aaegi labon par mere dil ki baat khul ke
tabhī aa.egī laboñ par mire dil kī baat khul ke
mirī zaat se mile jab tirī kā.enāt khul ke
mirā ishq hai bas itnā ki jagā.eñ koī fitna
tire hoñT band ho ke mirī ḳhvāhishāt khul ke
mujhe bāñdh kar jinhoñ ne sar-e-tāq rakh diyā hai
kabhī ḳhud bayāñ karūñgā maiñ vo sab nikāt khul ke
ye jo aaj basta basta sā adū ke raḳht meñ hai
yahī gul-badan milā thā kabhī puurī raat khul ke
baḌī be-maza guzārī hai zamāna-sāziyoñ ne
na adāvateñ nibhā.īñ na ta.alluqāt khul ke
tabhi aaegi labon par mere dil ki baat khul ke
meri zat se mile jab teri kaenat khul ke
mera ishq hai bas itna ki jagaen koi fitna
tere honT band ho ke meri KHwahishat khul ke
mujhe bandh kar jinhon ne sar-e-taq rakh diya hai
kabhi KHud bayan karunga main wo sab nikat khul ke
ye jo aaj basta basta sa adu ke raKHt mein hai
yahi gul-badan mila tha kabhi puri raat khul ke
baDi be-maza guzari hai zamana-saziyon ne
na adawaten nibhain na talluqat khul ke
- Book : Allah Hu (Pg. 81)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.