tabiat mein kisi had tak matanat chahiye kuchh aur
tabī'at meñ kisī had tak matānat chāhiye kuchh aur
harīfoñ se bhī na harf-o-hikāyat chāhiye kuchh aur
ab aisī bhī kyā majbūrī ki ḳhud meñ gum rahā jaa.e
badan meñ apne hone kī 'alāmat chāhiye kuchh aur
ḳhizāñ-dīda shajar huuñ phūlnā phalnā magar chāhūñ
mire haq meñ bahāroñ kī himāyat chāhiye kuchh aur
koī maktūb-e-yārāñ ki koī tasvīr-e-jānāñ ho
sadā mahfūz yāroñ kī amānat chāhiye kuchh aur
irāda sarfarāzī kā bahut achchhā sahī lekin
barā.e sarfarāzī qadd-o-qāmat chāhiye kuchh aur
sar-e-atrāf yaḳh-basta havā hai is qadar 'shahzād'
ravāñ apnī rag-o-pai meñ harārat chāhiye kuchh aur
tabi'at mein kisi had tak matanat chahiye kuchh aur
harifon se bhi na harf-o-hikayat chahiye kuchh aur
ab aisi bhi kya majburi ki KHud mein gum raha jae
badan mein apne hone ki 'alamat chahiye kuchh aur
KHizan-dida shajar hun phulna phalna magar chahun
mere haq mein bahaaron ki himayat chahiye kuchh aur
koi maktub-e-yaran ki koi taswir-e-jaanan ho
sada mahfuz yaron ki amanat chahiye kuchh aur
irada sarfaraazi ka bahut achchha sahi lekin
barae sarfaraazi qadd-o-qamat chahiye kuchh aur
sar-e-atraf yaKH-basta hawa hai is qadar 'shahzad'
rawan apni rag-o-pai mein hararat chahiye kuchh aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.