Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tabiat su-e-asani kabhi mail nahin hoti

Saeed Shahidi

tabiat su-e-asani kabhi mail nahin hoti

Saeed Shahidi

MORE BYSaeed Shahidi

    tabī.at sū-e-āsānī kabhī maa.il nahīñ hotī

    mohabbat meñ koī mushkil bhī ho mushkil nahīñ hotī

    musāfir baiTh jaatā hai jahāñ bas baiTh jaatā hai

    phir us ke ba.ad us ko ḳhvāhish-e-manzil nahīñ hotī

    banāte nasheman barq aatī hai jalāne ko

    ḳhudā shukr hai mehnat mirī zaa.il nahīñ hotī

    tirī mahfil meñ kaun aayā tirī mahfil se kaun uTThā

    tujhe is ḳhabar ai sāhab-e-mahfil nahīñ hotī

    unheñ rahm aa jā.egā arz-e-hāl kartā

    ḳhulūs-e-dil se jo koshish ho lā-hāsil nahīñ hotī

    agar maiñ ḳhud nahīñ hotā to merā zikr hotā hai

    ba-juz mere tirī mahfil tirī mahfil nahīñ hotī

    ḳhushī hadd-e-āḳhir par to aañsū DabDabāte haiñ

    magar kyā baat hai ġham koī manzil nahīñ hotī

    tabiat su-e-asani kabhi mail nahin hoti

    mohabbat mein koi mushkil bhi ho mushkil nahin hoti

    musafir baiTh jata hai jahan bas baiTh jata hai

    phir us ke baad us ko KHwahish-e-manzil nahin hoti

    banate hi nasheman barq aati hai jalane ko

    KHuda ka shukr hai mehnat meri zail nahin hoti

    teri mahfil mein kaun aaya teri mahfil se kaun uTTha

    tujhe is ki KHabar ai sahab-e-mahfil nahin hoti

    unhen rahm aa hi jaega tu arz-e-haal karta ja

    KHulus-e-dil se jo koshish ho la-hasil nahin hoti

    agar main KHud nahin hota to mera zikr hota hai

    ba-juz mere teri mahfil teri mahfil nahin hoti

    KHushi ki hadd-e-aKHir par to aansu DabDabaate hain

    magar kya baat hai gham ki koi manzil nahin hoti

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now