tabiat su-e-asani kabhi mail nahin hoti
tabī.at sū-e-āsānī kabhī maa.il nahīñ hotī
mohabbat meñ koī mushkil bhī ho mushkil nahīñ hotī
musāfir baiTh jaatā hai jahāñ bas baiTh jaatā hai
phir us ke baad us ko ḳhvāhish-e-manzil nahīñ hotī
unheñ rahm aa hī jā.egā tū arz-e-hāl kartā jā
ḳhulūs-e-dil se jo koshish ho lā-hāsil nahīñ hotī
tirī mahfil meñ kaun aayā tirī mahfil se kaun uTThā
tujhe is kī ḳhabar ai sāhab-e-mahfil nahīñ hotī
banāte hī nasheman barq aatī hai jalāne ko
ḳhudā kā shukr hai mehnat mirī zaa.il nahīñ hotī
ḳhushī kī hadd-e-āḳhir par to aañsū DabDabāte haiñ
magar kyā baat hai ġham kī koī manzil nahīñ hotī
tabiat su-e-asani kabhi mail nahin hoti
mohabbat mein koi mushkil bhi ho mushkil nahin hoti
musafir baiTh jata hai jahan bas baiTh jata hai
phir us ke baad us ko KHwahish-e-manzil nahin hoti
unhen rahm aa hi jaega tu arz-e-haal karta ja
KHulus-e-dil se jo koshish ho la-hasil nahin hoti
teri mahfil mein kaun aaya teri mahfil se kaun uTTha
tujhe is ki KHabar ai sahab-e-mahfil nahin hoti
banate hi nasheman barq aati hai jalane ko
KHuda ka shukr hai mehnat meri zail nahin hoti
KHushi ki hadd-e-aKHir par to aansu DabDabaate hain
magar kya baat hai gham ki koi manzil nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.