tabib dekh ke mujhko dawa na kuchh bola
tabīb dekh ke mujh ko davā na kuchh bolā
ḳhudā ko sauñp do is ke sivā na kuchh bolā
raqīb jast mirā us ke aage kartā hai
suno to yaaro koī āshnā na kuchh bolā
maiñ jis se pūchhā nishāñ us parī kī manzil kā
vo mere muñh ke ta.iiñ tak rahā na kuchh bolā
maiñ arz kī nahīñ tum mujh se bolte ho kyuuñ
vo itnā kahte hī sun ho gayā na kuchh bolā
tabib dekh ke mujh ko dawa na kuchh bola
KHuda ko saunp do is ke siwa na kuchh bola
raqib jast mera us ke aage karta hai
suno to yaro koi aashna na kuchh bola
main jis se puchha nishan us pari ki manzil ka
wo mere munh ke tain tak raha na kuchh bola
main arz ki nahin tum mujh se bolte ho kyun
wo itna kahte hi sun ho gaya na kuchh bola
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.