tabibon se nazar ki choT pahchani nahin jati
tabīboñ se nazar kī choT pahchānī nahīñ jaatī
pareshāñ haiñ ki kyoñ merī pareshānī nahīñ jaatī
kisī sūrat mirī āshufta-sāmānī nahīñ jaatī
bayābāñ bas ga.e aur ghar kī vīrānī nahīñ jaatī
fanā ke ghaaT tak ġham kī sitam-rānī nahīñ jaatī
bahī jaatī haiñ āñkheñ ashk-afshānī nahīñ jaatī
tumhārā hukm hai vo hukm jo Taalā nahīñ jaatā
hamārī baat hai vo baat jo maanī nahīñ jaatī
ḳhudā shāhid hai maiñ apnī tabāhī kā huuñ ḳhud baa.is
ab is ko kyā karūñ us kī pareshānī nahīñ jaatī
'hayāt'-e-ġham-zada ke dil kī vīrānī ko mat pūchho
huā hai aisā vīrāñ jis kī vīrānī nahīñ jaatī
tabibon se nazar ki choT pahchani nahin jati
pareshan hain ki kyon meri pareshani nahin jati
kisi surat meri aashufta-samani nahin jati
bayaban bas gae aur ghar ki virani nahin jati
fana ke ghaT tak gham ki sitam-rani nahin jati
bahi jati hain aankhen ashk-afshani nahin jati
tumhaara hukm hai wo hukm jo Tala nahin jata
hamari baat hai wo baat jo mani nahin jati
KHuda shahid hai main apni tabahi ka hun KHud bais
ab is ko kya karun us ki pareshani nahin jati
'hayat'-e-gham-zada ke dil ki virani ko mat puchho
hua hai aisa viran jis ki virani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.