Table ke jaisi qabr pe Khaali glass hai
Table ke jaisī qabr pe ḳhālī glass hai
is meñ zarūr dafn koī devdās hai
ik terī sādgī hai jo bārish kī pahlī buuñd
ik merī āshiqī hai jo patthar kī pyaas hai
aage to aur saḳht syllabus haiñ jān-e-man
ye be-qarārī ishq kī pahlī class hai
hālāñki tum se ab koī rishta nahīñ magar
jis din se tum ga.ī ho mirā jī udaas hai
nākām ho ga.iiñ sabhī chingāriyāñ mirī
kambaḳht us kī yaad hī bhīgī kapās hai
Table ke jaisi qabr pe KHali glass hai
is mein zarur dafn koi dewdas hai
ek teri sadgi hai jo barish ki pahli bund
ek meri aashiqi hai jo patthar ki pyas hai
aage to aur saKHt syllabus hain jaan-e-man
ye be-qarari ishq ki pahli class hai
haalanki tum se ab koi rishta nahin magar
jis din se tum gai ho mera ji udas hai
nakaam ho gain sabhi chingariyan meri
kambaKHt us ki yaad hi bhigi kapas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.