tabsira kyon kar rahe ho barha ajdad par
tabsira kyoñ kar rahe ho bārhā ajdād par
faisla hogā tumhārā aaj kī buniyād par
baat terī mil-milā kar Thiik hai naqqād par
she'r achchhā yā burā hai munhasir hai daad par
sab hifāzat kar raheñ haiñ mustaqil dīvār kī
jab ki hamla ho rahā hai mustaqil buniyād par
kaise nikloge bhalā apne gunah ke jaal se
tum ne to ilzām saarā rakh diyā sayyād par
dar-ba-dar phirnā paḌegā 'āshiqoñ ko 'umr bhar
zulm sahnā lāzmī hai vāris-e-farhād par
maañ ke pairoñ ke tale jannat kī ne'mat hai magar
baap kā saaya bhī 'ahyā' chāhiye aulād par
tabsira kyon kar rahe ho barha ajdad par
faisla hoga tumhaara aaj ki buniyaad par
baat teri mil-mila kar Thik hai naqqad par
she'r achchha ya bura hai munhasir hai dad par
sab hifazat kar rahen hain mustaqil diwar ki
jab ki hamla ho raha hai mustaqil buniyaad par
kaise nikloge bhala apne gunah ke jal se
tum ne to ilzam sara rakh diya sayyaad par
dar-ba-dar phirna paDega 'ashiqon ko 'umr bhar
zulm sahna lazmi hai waris-e-farhad par
man ke pairon ke tale jannat ki ne'mat hai magar
bap ka saya bhi 'ahya' chahiye aulad par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.